chahat / dard / naam / parda / pyar / Zimmedariya

Aisa Kyu Hai

Tum mei mai hu aur mujhmei tum ho

Toh mai kam kaise aur tum zada kyu ho
Zimmedariya toh humari barabar hi thi
Fir tumne jo nibhai wo puri aur maine jo ki wo adhoori kyu hai
Naam toh humara sath jud hi gaya hai
Lekin tum ab bhi wahi ho aur mere naam mei tumhara naam zaroori kyu hai
Kabhi takleef tumhe bhi hoti hai aur mujhe bhi
Fir Tumare dard ka ilaaj kaise mil jata hai aur mera zakham ab bhi laailaaj kyu hai
Tumhara rona nazar aata hai mera kisinko samajh nii ata hai
Jab mere aansu chup hai toh tumhare aansuo mei aawaz kyu hai
Galti toh humdono se hi ho jaati hai
 Lekin tumhari nazarandaaz kardi sabne 
 par mujhse ab bhi naraz kyu hai
Jo hak tumhara hai wahi mera bhi hai agar
Toh mera aangan mujhse dur aur tumhare apne tumhare paas kyu hai
Chaahat kuch paane ki tumhe bhi hai aur mujhe bhi
Fir tumne jo haasil kar liya wo sabki khushi hai par meri mazil akeli aur udaas kyu hai
Rishte toh hum dono ne nae banae the
Toh tumhare sar pe koi bojh nahi hai aur mere mathe pe parda kyu hai
Faisle toh hume mil kar hi lene the
Par hoga wahi jo tumne keh diya fir mera kuch kehna zaroori kyu hai
Jo tera hai wahi mera hai ,aur mera bhi sabkuch tumhara hai
Lekin tumhe jo diya gaya tumhara hakk tha aur mujhe jo mila wo ehsaan kyu hai
Kuch baate mujhe pasand nahi aati kuch tumhe bhi buri lagti hai
Toh tumhara naraz ho jana sahi aur mera ruth jana galat kyu hai
Pyar tumhe bhi hai aur mujhe bhi
Lekin mera pyar jag mei zaahir aur tumhara  darwaaze ke peeche band kyu hai
Aakhir aisa kyu hai
Par jaanti hu mai ki
Pyar humara toota nahi hai thoda chatak gaya hai
Duniyadaari nibhante hue raaste mei kahi  atak gaya hai
Thoda mai keh du kuch tum bhi samajh jao
Koi nahi chahiye mujhe bas tum mera sath nibhao

Author

info@thesoulpoetry.com

Comments









Anonymous
August 2, 2020 at 9:29 am

प्यार का आइना टूटता भी नहीं चटकता भी नहीं, बस आइने पर जो धूल है, उसे साफ करना सिर्फ मेरी कमजोरी ही क्यूं है ?





Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Mere Sapne

July 24, 2020

Shayari sa lagta hai

August 9, 2020