awaaz / bhedbhav / duniya / insaan / mohobbat / uch neech

Insaniyat

Dusro mei kami kya nikaalte ho

Kabhi jhank ke dekha hai apne girebaan mei
Tumne bhi aisa kaun sa teer maar liya
Jo waahwahi ho tumhari jahaan mei
Aawaz agar uthani hi hai 
Toh duniya mei faili uch neech pe uthao
Bhrashtachar pe uthao
Aur jo rehna hai maun ,toh jao 
Milenge tumhare jaise tumhe shamshaan mei
Deewar agar girani hi hai 
Toh aapas mei hui dushmani ki girao
Bhedbhav ki girao
Aur jo todna hi ho kisi ka ghar
Toh jao milenge thekedar tumhe unchi unchi dukaan mei
Agar mohobbat badhani hi hai 
Toh apni akad ko mitaao
Sajdaa karo aur jhuk kar dikhao
Aur jo tum jhuk nahi sakte toh jao 
Khade hai tumhare jaise bohot khet khalihaan mei
Ab bass itna hi kahungi 
Ki rehna hai toh mohobbat se raho
Na mili geeta mei toh mil jaegi kuraan mei
Na mili allah mei toh mil jaegi bhagwan mei
Na mili mantro mei toh mil jaegi aazan mei
Aur fir bhi na mile mere dost toh dil se dhundna ,,insaan ko mil jaegi insaan mei

Author

info@thesoulpoetry.com

Comments

July 21, 2020 at 1:59 pm

Awsmmmm 👏 👏👏👏





July 27, 2020 at 9:10 am

This comment has been removed by the author.







Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Meri Beti

July 20, 2020

Mere Sapne

July 24, 2020