Sapne toh sab dekhte hai,har roz dekhte hai
Par pure kitne hote hai,kuch hote hai aur kuch nahi bhi
Kaun se sapne pure honge aur kaun se nahi
Kaun se galat hai aur kaun se sahi,ye kaun chunnta hai
Iss sahi aur galat ka certificate aakhir kaha milta hai
Tu nahi kar sakti, tu nahi kar paegi
Baat nahi maanegi toh roti reh jaegi
Soch samajh k kadam badhana
“Aur fir ye duniya mujhe mere hi sapno ka dayera yaad dilaegi”
Aaj rehne de,,fir kabhi dekha jaega
Abhi wo kar jo kal tere kaam aaega
Sapno ki udaan rok le
Warna sabkuch khatam ho jaega
“Aur fir kya zaruri hai aur kya nahi iska paath mujhe padhaya jaega”
Baat maan le,warna pachtayegi
Meri baat tujhe baad mei samajh aaegi
Sahi waqt pe sahi kaam kar
Shaadi karle ussi mei sara sukh paegi
“Aur fir rishto ka waasta deke mujhse sapno ki chaabi chhin li jaegi”
Aisi aneko anek baate mujhse kahi jaegi..
Aakhir mei ek acchi beti baat ko samajh jaegi..
Apne sapne se pehle wo apni zimmedariya nibhaegi
Aur byaah ke wo apne sapno se dur chali jaegi
Ye kahani meri nahi tumhari hai
Khud ko aaine mei dekho aur batao
Ki kya tum wahi ho jo banna chahti thi
Jo sun ke sab chhod diya kya wahi sunna chahti thi
“Ab bhi sab khtam nii hua…
sapna tumhara zinda hai abhi dafna nahi hua”
Tum apne sapno ko tootne mat dena
Apne khwahisho ki dor hantho se chhutne mat dena
Jo tumhe koi rokna chahe toh kehna
Bol do nadi se ki aaj tum mat behna
Aur jo nahi keh sakte toh itna samajh lo ki
Sitaare Aasman se tod k zameen par nahi feke jaate
Aur sapne bhi kabhi soch samajh kar nahi dekhe jaate
Comments
Very beautiful ❣️
Awesome
Very nice and truthful.
Very nice..
Heart touching
Very nice 👍